surKH honTon se mere dil pe nishani likh de
tu mere nam ke aage kabhi jaani likh de
umr guzri hai meri sham-e-furaat-e-dil mein
main hun pyasa mere nusKHe mein tu pani likh de
ab teri yaad bhi kam kam hi mujhe aati hai
jaane kis tarah se guzri hai jawani likh de
aarzu ek hi is dil mein rahi hai raqsan
tu koi mere liye sham suhani likh de
mere afsana-e-hasti mein hai tu bhi shamil
meri nashad mohabbat ki kahani likh de
ain mumkin hai mere dil ko sukun mil jae
safha-e-dil pe koi yaad purani likh de
main to 'ghaalib' ka muqallid hun 'kanwal' mere liye
mere KHame ke muqaddar mein rawani likh de
Ghazal
SurKH honTon se mere dil pe nishani likh de
Kanwal Feroz