surKH ho jata hai munh meri nazar ke bojh se
kya banegi zewar-e-gul-ha-e-tar ke bojh se
yun hue hain KHak baad-e-dafn tere na-tawan
pis gae hain chadar-e-gul-ha-e-tar ke bojh se
sharm go kam ho gai par nazuki ko kya karen
ab jhuke jate hain KHud apni nazar ke ke bojh se
uf ri teri na-tawani laghari allah re zoaf
ek hi karwaT se hun dagh-e-jigar ke bojh se
hilte hain abru tere bar-e-gul-e-ruKHsar se
jis tarah shaKHen lachakti hain samar ke bojh se
dil se aahen chal chuki hain ho gaya mumkin visal
ab labon tak aa nahin saktin asar ke bojh se
yas-o-hasrat se ye bulbul ki giranbari hui
lakh man ka hai qafas ek musht-e-par ke bojh se
jama-e-asli bahut kohna hua hai ai 'rashid'
chaak ho jae na ashk-e-chashm-e-tar ke bojh se
Ghazal
SurKH ho jata hai munh meri nazar ke bojh se
Rasheed lakhnavi

