surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin
hum ko mustaqbil-e-zarrin ne pukara to nahin
dast o pa shal hain kinare se laga baiTha hun
lekin is shorish-e-tufan se haara to nahin
is gham-e-dost ne kya kuchh na sitam Dhae magar
gham-e-dauran ki tarah jaan se mara to nahin
dukh bhare giton se mamur hai kyun barbat-e-jaan
is mein kuchh gursana nazron ka ishaara to nahin
ashk jo de na uThe lau sar-e-mizhgan aa kar
sirf ek qatra-e-shabnam hai sharara to nahin
ek ujala sa jhalakta hai pas-e-parda-e-shab
chashm-e-be-KHwab mein larzan koi tara to nahin
kitni ummidon pe jita raha 'wamiq' ab tak
ab magar ek yahi jine ka sahaara to nahin

Ghazal
SurKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin
Wamiq Jaunpuri