surKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun
main to duniya bhar ke manzar aankhon mein bhar laya hun
jangal the aur log purane sog pahan kar sote the
ek anokhe KHwab se apni jaan chhuDa kar laya hun
main itna mohtaj nahin hun tu itna mayus na ho
aaj barahna-chashm nahin ashkon ki chadar laya hun
sirf nashat-angez faza mein lahje ki tahzib hui
dekh apne nauhon ke alam naghmon ke barabar laya hun
'saqi' yaadon ki fasdon se jita jita KHun bahe
main rangon ki faslen kaT ke aaj apne ghar laya hun

Ghazal
SurKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun
Saqi Faruqi