suragh bhi na mile ajnabi sada ke mujhe
ye kaun chhup gaya sahraon mein bula ke mujhe
main us ki baaton mein gham apna bhul jata magar
wo shaKHs rone laga KHud hansa hansa ke mujhe
use yaqin ki main jaan de na paunga
mujhe ye KHauf ki roega aazma ke mujhe
jo dur rah ke uData raha mazaq mera
qarib aaya to roya gale laga ke mujhe
main apni qabr mein mahw-e-azab tha lekin
zamana KHush hua diwaron par saja ke mujhe
yahan kisi ko koi puchhta nahin 'azar'
kahan pe lai hai andhi hawa uDa ke mujhe
Ghazal
Suragh bhi na mile ajnabi sada ke mujhe
Faryad Aazar