supurd-e-gham-zadagan-e-saf-e-wafa hua main
paDa hun umr ki diwar se gira hua main
ajib soch si aur us pe sochta hua main
ki TuTta teri hairat mein aaina hua main
kahin main koh pe farhad aur dasht mein qais
wajud-e-ishq mein hun KHud ko DhunDhta hua main
jise bhi milna hai mujh se wo intizar kare
na jaane kab palaT aaun kahin gaya hua main
na mil saka koi afsos waqt par mujh ko
kisi ko mil na saka waqt se kaTa hua main
tamam ham-nafasan qata kar gae manzil
bas ek musafir-e-rah, rah gaya bacha hua main
tamam umr yunhi tarz-e-bud-o-bash rahi
kahin charagh bana main kahin hawa hua main
samajh na sahl zamane ki gardishon ke baad
hua main KHud ko faraham mujhe ata hua main
ajib kaifiyat-e-intishaar mein hun rawan
ghubar sa hun kisi KHak se uDa hua main
Ghazal
Supurd-e-gham-zadagan-e-saf-e-wafa hua main
Iqbal Kausar