sunte rahte hain faqat kuchh wo nahin kah sakte
aainon se jo kahen un ko nahin kah sakte
un ke lahje mein koi aur hi bola hoga
mujhe lagta hai ki aisa wo nahin kah sakte
shahr mein ek diwane se kahalwate hain
ahl-e-pindar mere KHud jo nahin kah sakte
yun to mil jaane ko dam-saz kai mil jaen
dil ki baaten hain har ek se to nahin kah sakte
jaane phir munh mein zaban rakhne ka masraf kya hai
jo kaha chahte hain wo to nahin kah sakte
Ghazal
Sunte rahte hain faqat kuchh wo nahin kah sakte
Saima Esma