اردو हिंदी
Sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho | Shaahi Shayari
sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho

Ghazal

Sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho

Ibn e Insha

;

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho
'insha' sahab nahaq ji ko wahshat mein uljhate ho

dil ki baat chhupani mushkil lekin KHub chhupate ho
ban mein dana shahr ke andar diwane kahlate ho

bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath
aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho

pit mein aise lakh jatan hain lekin ek din sab nakaam
aap jahan mein ruswa hoge waz hamein farmate ho

hum se nam junun ka qaim hum se dasht ki aabaadi
hum se dard ka shikwa karte hum ko zaKHm dikhate ho