sunte hain jo hum dasht mein pani ki kahani
aazar ka aazar kahani ki kahani
dariya to kahin baad mein daryaft hue hain
aaghaz hui dil se rawani ki kahani
sunta ho agar koi to 'adil' wo dar-o-baam
kahte hain meri naql-e-makani ki kahani

Ghazal
Sunte hain jo hum dasht mein pani ki kahani
Zulfiqar Aadil