sunta raha hai aur sunega jahan mujhe
yun rakh gaya hai koi sar-e-dastan mujhe
suqraat kya masih kya zikr-e-husain kya
mazi suna raha hai meri dastan mujhe
be-nur mere baad hui bazm-e-kainat
tum to bata rahe the bahut raegan mujhe
maujon se ek umr raha marka magar
gharqab kar gain meri gahraiyan mujhe
kis ko guman tha waqt ka Dhalte hi aaftab
aa kar Daraengi meri parchhaiyan mujhe
'asrar' un ke lab to khulen kuchh jawab mein
na bhi agar kahenge to wo hogi han mujhe
Ghazal
Sunta raha hai aur sunega jahan mujhe
Asrarul Haq Asrar