sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna
kijo na us se haal-e-dil izhaar dekhna
gustaKH be-tarah hai tujh aaghosh se ye hath
ho jaega gale ka tere haar dekhna
tujh dar pe misl-e-naqsh-e-qadam ek umr se
pyare fatada hai ye gunahgar dekhna
ghar tere gae pe tujh kun na paya bila raqib
mujh ko hua ye gul ke ewaz KHar dekhna
sham-e-jamal apne pe chahe jo imtihan
parwana-war mujh ko bhi yak-bar dekhna
koi tira-baKHt mujh sa bhi hoga jahan mein
tujh zulf se mila na mujhe tar dekhna
is raaz-e-ishq ko kahin ro ro ke shama san
izhaar kijiyo na 'jahandar' dekhna
Ghazal
Sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna
Meerza Jawan Bakht Jahandar