اردو हिंदी
Sunoge mujhse mera majra kya | Shaahi Shayari
sunoge mujhse mera majra kya

Ghazal

Sunoge mujhse mera majra kya

Ismail Merathi

;

sunoge mujh se mera majra kya
kaha karte hain afsanon mein kya kya

nahin tashwish-e-ainda ki ho kab
guzishta ka tahayyur hai ki tha kya

na kar taftish hai KHalwat-nashin kaun
tammul kar ki hai ye barmala kya

hai ek aaina-KHana bazm-e-kasrat
bataun ghair kis ko ma-siwa kya

faqat mazkur hai ek nisbat-e-KHas
muqaddar hai KHabar kya mubtada kya

jahan naqsh-e-qadam ho ruh-e-qudsi
wahan pahunchegi aql-e-na-rasa kya

lagaun shaian-lillah ki sada kyun
bhula dun yafalullah-ma-yasha kya