suno to aariza-e-iKHtilaj rahne do
sukun ke Thik nahin hain mizaj rahne do
ba-hukm-e-shah taqarib-e-amn kal honge
sharar-gazida hai mahaul aaj rahne do
tum apni nabz ki raftar par nazar rakkho
KHilaf-e-gardish-e-nau-ehtijaj rahne do
kisi ko saya kisi ko gul-o-samar dega
hara bhara hai daraKHt-e-riwaj rahne do
zamin-e-fikr-o-hunar banjh hai abhi 'rahi'
husul-e-dad wasul-e-KHiraj rahne do
Ghazal
Suno to aariza-e-iKHtilaj rahne do
Rahi Fidai