suno KHamosh hi hasti meri tum se juda hogi
ki ab har ek fariyaad-e-inayat be-nawa hogi
kisi fariyaad-e-ulfat se bhala ummid kya rakhna
mohabbat bewafa thi bewafa hai bewafa hogi
purane kaghazon pe darj meri shairi shayad
kisi majruh dil ke zaKHm ki mail rida hogi
karoge zulm kab tak mashwara hai baz aa jao
bahut pachhtaoge tum zulm ki gar intiha hogi
tajassus chhoD de tum qais-o-laila si mohabbat ka
ki daur-e-nau ki har tamsil-e-ulfat bewafa hogi

Ghazal
Suno KHamosh hi hasti meri tum se juda hogi
Faisal Fehmi