suno kawi tausif tabassum is dukh se kya paoge
sapne likhte likhte aaKHir KHud sapna ho jaoge
jalti aankhon jwala phuTe KHushbu ghul kar rang bane
dukh ke lakhon chehre hain kis kis se aankh milaoge
har khiDki mein phul khile hain pile pile chehron ke
kaisi sarson phuli hai kya aise mein ghar jaoge
itne rangon mein kyun tum ko ek rang man bhaya hai
bhed ye apne ji ka kaise auron ko samjhaoge
ab to sahar hone ko aai ab to ghar ko lauT chalo
chand ke pichhe pichhe jitna bhagoge gahnaoge
dil ki bazi haar ke roe ho to ye bhi sun rakkho
aur abhi tum pyar karoge aur abhi pachhtaoge
Ghazal
Suno kawi tausif tabassum is dukh se kya paoge
Tauseef Tabassum