اردو हिंदी
Suno dariya ki duhai sahab | Shaahi Shayari
suno dariya ki duhai sahab

Ghazal

Suno dariya ki duhai sahab

Noman Farooq

;

suno dariya ki duhai sahab
pyas milne nahin aai sahab

yaad karti hai mahakti sarson
rah takti hai phulai sahab

mere hathon mein qalam tha lekin
main ne talwar uThai sahab

mujh pe pathraw kiya phulon ne
choT KHushbu ne lagai sahab

mere honTon se chhuDa kar daman
pyas dariya mein nahai sahab