suno! ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
ki ek raste pe chalte chalte sau raste nikal aae
agarche kam na thi, chaaragaran-e-shahr ki pursish
magar! kuchh zaKHm-e-na-dida bahut gahre nikal aae
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
bahut din tak hisar-e-nashsha yaktai mein rakkha
phir is chehre ke andar bhi kai chehre nikal aae
purane zaKHm bharte hi, nae zaKHmon ke shaidai
mizaj-e-aina oDhe hue ghar se nikal aae
tazad-e-zat ke bais khula wo kam-suKHan aisa
adhuri baat ke mafhum bhi pure nikal aae
Ghazal
Suno! ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
Khalid Moin