اردو हिंदी
Suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye | Shaahi Shayari
suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye

Ghazal

Suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye

Muzaffar Ali Syed

;

suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye
is daere mein sham-o-sahar raqs kijiye

pakizgi faza ki tarannum nasim ka
kya chandni hai pichhle pahar raqs kijiye

tali baja rahe hain shagufe nae nae
aawaz de rahe hain shajar raqs kijiye

kya chhup-chhupa ke chhat ke tale nach mein maza
uryan nikal ke dar se badar raqs kijiye

ji chahta hai aaj farishton se bhi kahun
parwaz kya hai khinch ke par raqs kijiye

fursat nahin faqih ko zar ki talash se
mutlaq na kije KHauf-o-KHatar raqs kijiye

gar iztirar qabil-e-tazir hai to ho
hai apne bas mein KHair na shar raqs kijiye

dozaKH jala ke dard ka aur aagahi ki aag
donon ke darmiyan utar raqs kijiye

tanhaiyon ke git na sab ko sunaiye
panw mila ke joD ke sar raqs kijiye

mat puchhiye ki pyar ka anjam kya hua
pyara chala gaya hai kidhar raqs kijiye

manind-e-qais ret na sahra ki chhaniye
kis ko mili hai kis ki KHabar raqs kijiye

kije tawaf-e-kucha-e-jaanan ko tez-tar
muzmar hai is mein sair-o-safar raqs kijiye

'sayyad' qarar ko to paDi hai tamam umr
ek aur bhi ghazal hai agar raqs kijiye