suni hai raushni ke qatl ki jab se KHabar main ne
charaghon ki taraf dekha nahin hai lauT kar main ne
faraaz-e-dar se apnon ke chehre KHud hi pahchane
faqih-e-shahr ko jaana nahin hai mo'tabar main ne
bhala suraj ki tarf kaun dekhe kis mein himmat hai
tere chehre pe Dali hi nahin ab tak nazar main ne
yaqinan aandhiyon ne aa liya kunjon ki Daron ko
ki KHun-aluda dekhe hain faza mein baal-o-par main ne
tumhaare baad main ne phir kisi ko bhi nahin dekha
nahin hone diya aaluda daman-e-nazar main ne
hazaron aarzuen rah gain gard-e-safar ho kar
saja rakkhi hai palkon pe wahi gard-e-safar main ne
dam-e-ruKHsat meri palkon pe do qatre the ashkon ke
kiya hai zindagani ke safar ko muKHtasar main ne
main apne ghar mein KHud apnon se bazi haar baiTha hun
abhi sikha nahin apnon mein rahne ka hunar main ne
'surur-ambaalwi' apne hi dil mein us ko paya hai
jise ek umr tak aawaz di hai dar-ba-dar main ne
Ghazal
Suni hai raushni ke qatl ki jab se KHabar maine
Suroor Ambalvi