sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan
dhup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gai jaanan
bhor samay tak jis ne hamein baham uljhae rakkha
wo albeli resham aisi baat guzar gai jaanan
sada ki dekhi raat hamein is bar mili to chupke se
KHali baat pe rakh ke kya saughat guzar gai jaanan
kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sarsabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai jaanan
log na jaane kin raaton ki muraden manga karte hain
apni raat to wo jo tere sat guzar gai jaanan
ab to faqat sayyaad ki dildari ka bahana hai warna
hum ko dam mein lane wali ghat guzar gai jaanan
Ghazal
Sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan
Parveen Shakir