sunahra hi sunahra wada-e-farda raha hoga
qayas-arai ka be-saKHta lamha raha hoga
samundar mein chune moti na taron ka jahan dekha
zarur school mein taKHil par pahra raha hoga
kaha tha jis ne tum se han main tum se pyar karta hun
mere andar chhupa ek be-dhaDak laDka raha hoga
main ab bhi Darte Darte apne haq ki baat karta hun
meri talim mein Dar ka baDa hissa raha hoga
tumhaari bazm se ghusse mein uTh ke aa gaya tha main
na jaane baad mein kis qism ka charcha raha hoga
gaya hai chhoD kar mahfil kuchh itni be-dili se wo
ki bahar bhiD mein bhi waqai tanha raha hoga
wo jis ne mujh ko registan mein pani pilaya tha
mujhe lagta hai KHud wo mehrban pyasa raha hoga
Ghazal
Sunahra hi sunahra wada-e-farda raha hoga
Subodh Lal Saqi