sunata hai koi bholi kahani
mahakte miThe dariyaon ka pani
yahan jangal the aabaadi se pahle
suna hai main ne logon ki zabani
yahan ek shahar tha shahr-e-nigaran
na chhoDi waqt ne is ki nishani
main wo dil hun dabistan-e-alam ka
jise roegi barson shadmani
tahayyur ne use dekha hai akasr
KHirad kahti hai jis ko la-makani
KHayalon hi mein akasr baiThe baiThe
basa leta hun ek duniya suhani
hujum-e-nashsha-e-fikr-e-suKHan mein
badal jate hain lafzon ke maani
bata ai zulmat-e-sahra-e-imkan
kahan hoga mere KHwabon ka sani
andheri sham ke pardon mein chhup kar
kise roti hai chashmon ki rawani
kiran pariyan utarti hain kahan se
kahan jate hain riste kahkashani
pahaDon se chali phir koi aandhi
uDe jate hain auraq-e-KHizani
nai duniya ke hangamon mein 'nasir'
dabi jati hain aawazen purani
Ghazal
Sunata hai koi bholi kahani
Nasir Kazmi