اردو हिंदी
Suna to hai ki kabhi be-niyaz-e-gham thi hayat | Shaahi Shayari
suna to hai ki kabhi be-niyaz-e-gham thi hayat

Ghazal

Suna to hai ki kabhi be-niyaz-e-gham thi hayat

Firaq Gorakhpuri

;

suna to hai ki kabhi be-niyaz-e-gham thi hayat
dilai yaad nigahon ne teri kab ki baat

zaman makan hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayat
bas ek mauj ki hain jhalkiyan qarar-o-sabaat

hayat ban gai thi jin mein ek KHwab-e-hayat
are dawam-o-abad the wahi to kuchh lamhat

hayat-e-dozaKHiyan bhi tamam mubham hai
azab bhi na mayassar hua kahan ki najat

teri nigah ki subhen nigah ki shamen
harim-e-raaz ye duniya jahan na dan hain na raat

bas ek sharab-e-kuhan ke karishme hain saqi
nae zamane nai mastiyan nai barsat

kisi pe zulm bura hai magar ye kahta hun
ki aadmi pe ho ehsan aadmi haihat

sukut-e-raaz wahi hai jo dastan ban jae
nigah-e-naz wahi jo nikale baat mein baat

gham-o-nishat mohabbat ki chhoD de lalach
har ek se uThte nahin ye azab ye barkat

tamam aks hai duniya tamam aks adam
kahan tak aaina-dar-aina hayat-o-mamat

faza mein mahki hui chandni ki naghma-e-raaz
ki utren sina-e-shair mein jis tarah naghmat

bas ek raaz-e-tasalsul bas ek tasalsul-e-raaz
kahan pahunch ke hui KHatm bahs-e-zat-o-sifat

chamakte dard khile chehre muskuraate ashk
sajai jaegi ab tarz-e-nau se bazm-e-hayat

jise sab ahl-e-jahan zindagi samajhte hain
kabhi kabhi to mile aisi zindagi se najat

agar KHuda bhi mile to na le ki o nadan
hai tu hi kaba-e-din tu hi qibla-e-hajat

tamam KHastagi-o-mandgi hai aalam-e-hijr
thake thake se ye tare thaki thaki si ye raat

teri ghazal to nai ruh phunk deti hai
'firaq' der se chhuTi hui hai nabz-e-hayat