suna ke ranj-o-alam mujh ko uljhanon mein na Dal
thakan ka KHauf mere azm ki ragon mein na Dal
main is jahan ko kuchh aur dena chahta hun
tu kar-e-waqt ke pur-haul chakkaron mein na Dal
malul dekh ke tujh ko main ruk na jaun kahin
KHudara! hijr ki shiddat ko aansuon mein na Dal
teri bhalai ki KHatir mujhe utara gaya
mujhe lapeT ke kapDon mein taqchon mein na Dal
ye hijraten to muqaddar hain aur mashghala bhi
tu be-ghari ke hawale se waswason mein na Dal
Ghazal
Suna ke ranj-o-alam mujhko uljhanon mein na Dal
Shabbir Nazish