suna kar haal qismat aazma kar lauT aae hain
unhen kuchh aur begana bana kar lauT aae hain
phir ek TuTa hua rishta phir ek ujDi hui duniya
phir ek dilchasp afsana suna kar lauT aae hain
fareb-e-arzu ab to na de ai marg-e-mayusi
hum ummidon ki ek duniya luTa kar lauT aae hain
KHuda shahid hai ab to un sa bhi koi nahin milta
ba-zom-e-KHwesh un ko aazma kar lauT aae hain
bichhe jate hain ya rab kyun kisi kafir ke qadmon mein
wo sajde jo dar-e-kaba pe ja kar lauT aae hain
Ghazal
Suna kar haal qismat aazma kar lauT aae hain
Hari Chand Akhtar