اردو हिंदी
Suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera | Shaahi Shayari
suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera

Ghazal

Suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera

Parvez Shahidi

;

suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera
tasawwur de raha hai tul isi ko kis qadar mera

ye dil-sozi-e-dard-e-adamiyyat kya qayamat hai
kisi ki aankh se aansu bahen daman ho tar mera

tasawwur mai-kade ka mushtarak ho kis tarah naseh?
KHirad saghar-shikan teri junun paimana-gar mera

yahi aalam raha gar shauq ki aaina-bandi ka!
to gum ho jaega jalwon mein shauq-e-KHud-nigar mera

KHuda-ra kuchh to naz-e-sar-bulandi rahm kar mujh par
tere bar-e-giran se ab jhuka jata hai sar mera

ulajh kar rah gai thi aql to parde ke taron mein
baDi mushkil se kaam aaya junun-e-parda-dar mera

nahin 'parwez' kuchh apne hi ashkon ki nami is mein
bana hai aastin-e-dostan daman-e-tar mera