suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf
so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain
suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki
suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aaina timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen
'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain
Ghazal
Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
Ahmad Faraz