suna hai chup ki bhi koi pukar hoti hai
ye bad-gumani mujhe bar bar hoti hai
KHayal-o-KHwab ki duniya sarab ki duniya
nazar faqir ki parde ke par hoti hai
azab-e-dida koi rang sinchte kaise
KHizan-gazidgi aashufta-bar hoti hai
main apne hisse ke manzar ujalne se raha
ye aagahi to bahut dil-figar hoti hai
umid hi se zamane mein shad-kaami hai
yahi wo shaKH hai jo saya-dar hoti hai
ye raat matami malbus hi mein jachti thi
ye raat hi to hamein pursa-dar hoti hai
main ji raha hun to jine ka hausla dekho
ye zaKHm-koshi taghaful-shiar hoti hai

Ghazal
Suna hai chup ki bhi koi pukar hoti hai
Rahil Bukhari