اردو हिंदी
Sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha | Shaahi Shayari
sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

Ghazal

Sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

Wajid Ali Shah Akhtar

;

sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha
duniya ye buri hai ye zamana nahin achchha

sab luT liya ek nazar dekh ke mujh ko
ai duzd-e-nigah dil ka churana nahin achchha

kyun jhenpte ho ghairon mein han phir to kaho wo
gali hi to thi baat banana nahin achchha

uryan-badani par na hababon ki paDe aankh
dariya mein meri jaan nahana nahin achchha

afsos ki surat na banao na rulao
dil pista hai honTon ka chabana nahin achchha

rote hain hansate ho bhari bazm mein sahab
chup baiThe raho dhyan baTana nahin achchha

kuche se chale jaiye 'aKHtar' kahin ab aur
mazmun bahut ishq ka chhana nahin achchha