sun rakha tha tajraba lekin ye pahla tha mera
jab kisi ke nam par be-wajh dil dhaDka mera
ek uchaTti si nazar us par gai aur yun laga
kho gaya jaise kahin harf-e-tamanna sa mera
ishq mein main bhi bahut mohtat tha sab jhuT hai
aur ye sabit kar gaya kal raat ka rona mera
ek harf-e-haq ki ta-nok-e-zaban aamad magar
maslahat KHamoshi aur aamanna-saddaqna mera
apne mehwar par zamin aae to lamha bhar sahi
der se KHali paDa hai KHaka-e-duniya mera
Ghazal
Sun rakha tha tajraba lekin ye pahla tha mera
Shahram Sarmadi

