sun le ye iltimas mera dostana hai
hushiyar ho ki tir-e-ajal ka nishana hai
kab tak rahegi masnad-e-kam-KHwab zer-e-pa
kahe KHamida yar tera shamiyana hai
duniya ke maKHmase hain ye farzand-o-aqraba
begana sab se ho ki ajal ka yagana hai
ai andalib-e-jaan-e-chaman jism par na phul
virana ek rose tera aashiyana hai
anfas-e-mustaar pe kya eatibar-e-zist
ek dam mein misl-e-mauj-e-saba to rawana hai
ye jalwa-e-ha-e-bu-qalmun be-sabaat hain
hai zindagi tilism-e-jahan ek fasana hai
rukti nahin hai bag kisi shahsawar se
har-dam samand-e-umr ko ek taziyana hai
kya sar-kashan-e-dahar ke qisse nahin sune
kya ho gae wo log kahan wo zamana hai
kahna tha jo 'nasim' tujhe sab suna chuke
nazdik iKHtitam tera karKHana hai
Ghazal
Sun le ye iltimas mera dostana hai
Naseem Dehlvi