sun kar kitni aankhen niklin
ek patthar mein sansen niklin
aankhon se ek dariya nikla
dariya se kuchh lashen niklin
gham ke bhi kuchh phul khile hain
zaKHmon se bhi shaKHen niklin
aage aage naKHun aae
pichhe pichhe banhen niklin
jis ko khoya tha aankhon ne
us ko lene yaaden niklin
kanTon ne kyun jashn manaya
phulon se kyun aahen niklin
un galiyon mein rah kar dekha
din se raushan raaten niklin
Ghazal
Sun kar kitni aankhen niklin
Aslam Rashid