sun kaha man na manega to pachhtaega
pyar nadan ko mat de ki ye mar jaega
rawish-e-am se hoshyar ki pachhtaega
waqt ko chhoD ye pani hai guzar jaega
sach koi fan to nahin hai jo sikhaya jae
jhuT se kaam le sach bolna aa jaega
do pahar haal-e-ghanimat hain akele-pan se
sath mat chhoD ki aankhon mein bikhar jaega
bahr-e-zulmat pasina hai meri aankhon ka
zid na kar kaam ye aansu ka bhi kar jaega
in lahu-rang fazaon pe na ja baat samajh
ghar ke aaseb se bach waqt badal jaega
meri ghazlen hain mohabbat ke sahife 'anjum'
paDhne walon ko tilawat ka maza aaega
Ghazal
Sun kaha man na manega to pachhtaega
Anjum Fauqi Badayuni