اردو हिंदी
Suluk dekh liya be-hunar hawaon ka | Shaahi Shayari
suluk dekh liya be-hunar hawaon ka

Ghazal

Suluk dekh liya be-hunar hawaon ka

Marghoob Ali

;

suluk dekh liya be-hunar hawaon ka
har ek shaKH hai manzar udas rahon ka

wo chand ban ke meri raat par utarta hai
to kaise yaad rakhun rang phir qabaon ka

na koi nazm hi likkhi na tujh se baat hui
ye pura sal hi Thahra mujhe sazaon ka

talab rahe to mahakte hain chahaton ke phul
talab miTe to sila kaisa phir wafaon ka

nahin ye koh-e-nida se hai kuchh alag basti
jawab aata nahin lauT kar sadaon ka