sulagti ret mein ek chehra aab sa chamka
udas aaankhon mein jine ka hausla chamka
andheri raat mein ye kis ka naqsh-e-pa chamka
musafiron ki nigahon mein rasta chamka
shab-e-firaq mein koi sitara TuTa to
hamari soch mein an-jaana waswasa chamka
faza mein phail gae kitne yaad ke jugnu
dayar-e-shauq mein jab koi rat-jaga chamka
udasiyon ke andhere Dara rahe the mujhe
ki hafize mein achanak tera kaha chamka
bikhar rahi hai KHayalon mein KHwab ki KHushbu
wajud ban ke kahan koi KHush-ada chamka
chhupae chhup na saka main to bhiD mein 'amabar'
na jaane kaise mujhi par wo daera chamka
Ghazal
Sulagti ret mein ek chehra aab sa chamka
Brijesh Ambar