اردو हिंदी
Sulagte dasht ka manzar hui hain | Shaahi Shayari
sulagte dasht ka manzar hui hain

Ghazal

Sulagte dasht ka manzar hui hain

Siya sachdev

;

sulagte dasht ka manzar hui hain
ye aankhen hijr mein banjar hui hain

tumhaari aarzu ko mil gaya ghar
hamari hasraten be-ghar hui hain

mohabbat mein taDap aahen aziyyat
ye sab dushwariyan aksar hui hai

nigahon mein koi taswir ubhri
ye aankhen aansuon se tar hui hain

nahin main wo nahin aise na dekho
bahut tabdiliyan andar hui hai

sitaron par khule hain raaz dil ke
teri baaten hi bas shab-bhar hui hain

siya mayus bebas KHwahishen kuchh
mere apne lahu se tar hui hain