sulag rahi hai zamin ya siphar aankhon mein
dhuan dhuan sa hai kyun tera shahr aankhon mein
khule dariche ke bahar hai kaun sa mausam
ki aag bharne lagi sard lahr aankhon mein
kahan hai nind ki hum KHwab dekhen amrit ka
jo sham guzri hai us ka hai zahr aankhon mein
KHafa hue bhi kisi se to kya kiya hum ne
bahut hua to raha dil ka qahr aankhon mein
koi utarne baiThe to hath jal jae
khinchi hai ab ke wo taswir-e-dahr aankhon mein
wahi hai pyas ka manzar wahi lahu 'qaisar'
hanuz phirti hai kone ki nahr aankhon mein
Ghazal
Sulag rahi hai zamin ya siphar aankhon mein
Qaisar Shameem