sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana
rawani zindagani hai to dhaaro tum na so jaana
mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni
adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana
tumhaare daere mein zindagi mahfuz rahti hai
nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana
tumhin se jagta hai dil mein ehsas-e-rawa-dari
qayam-e-rabt-e-baham ke sahaaro tum na so jaana
agar nind aa gai tum ko to chashme sukh jaenge
kabhi ghaflat mein paD kar kohsaro tum na so jaana
tumhin se bahr-e-hasti mein rawan hai kashti-e-hasti
agar sahil bhi so jaen to dhaaro tum na so jaana
sada-e-dard ki KHatir tumhein 'kausar' ne chheDa hai
shikasta-saz ke bedar taro tum na so jaana
Ghazal
Sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana
Kausar Siwani