sukut se bhi suKHan ko nikal lata hua
ye main hun lauh-e-shikasta se lafz uThata hua
makan ki tangi o tariki besh-tar thi so main
diye jalata hua aaine banata hua
tere ghayab ko maujud mein badalte hue
kabhi main KHud ko tere nam se bulata hua
charagh jalte hi ek shahr munkashif hum par
aur us ke baad wahi shahr Dub jata hua
bas ek KHwab ki us qarya-e-badan se hunuz
nawah-e-dil talak ek rasta sa aata hua
Ghazal
Sukut se bhi suKHan ko nikal lata hua
Zia-ul-Mustafa Turk