sukut-e-shab sitaron se hawa jab baat karti hai
tumhaari yaad ki KHushbu mere har su bikharti hai
wo ek laDka jo meri zat ka mehwar hai muddat se
mere andar ki laDki bhi usi ke sath rahti hai
kabhi dil mein mohabbat ke hasin mausam nikharte hain
kabhi mujh se lipaT kar zindagi bhi raqs karti hai
tere KHwab aur KHayalon ki agar mahfil saji ho to
kabhi gae tere naghme kabhi banti sanwarti hai
mujhe meri mohabbat par bahut hi man hai 'wishma'
usi ke nam se ab zindagi ki sans chalti hai
Ghazal
Sukut-e-shab sitaron se hawa jab baat karti hai
Vishma Khan Vishma