sukut-e-shab ke hathon saunp kar wapas bulata hai
meri aawargi ko mera ghar wapas bulata hai
main jab bhi daeron ko toD kar bahar nikalta hun
hawa ke na-tawan jhonke ka Dar wapas bulata hai
usi ke hukm par us ko main tanha chhoD aaya tha
KHuda jaane mujhe wo kyun magar wapas bulata hai
ishaare kar raha hai duriyon ka khaulta sagar
mujhe har sham ek andha safar wapas bulata hai
wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain
unhi bichhDe parindon ko shajar wapas bulata hai
sulagti saaton ka KHauf ab kamzor hai shayad
wahi sahma hua dast-e-hunar wapas bulata hai
Ghazal
Sukut-e-shab ke hathon saunp kar wapas bulata hai
Ashar Najmi