sukut-e-sham se ghabra na jae aaKHir tu
mere dayar se guzri jo ai kiran phir tu
libas-e-jaan mein nahin shoalagi ka rang magar
jhulas raha hai mere sath kyun ba-zahir tu
wafa-e-wada-o-paiman ka e'tibar bhi kya
ki main to sahab-e-iman hun aur munkir tu
mere wajud mein ek be-zaban samundar hai
utar ke dekh safine se meri KHatir tu
main shaKH-e-sabz nahin mahram-e-saba bhi nahin
mere fareb mein kyun aa gaya hai tair tu
isi ummid pe jalte hain raston mein charagh
kabhi to lauT ke aaega ai musafir tu
Ghazal
Sukut-e-sham se ghabra na jae aaKHir tu
Naseer Turabi