sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki
ki hai mazid udasi dawa udasi ki
bahut sharir tha main aur hansta phirta tha
phir ek faqir ne de di dua udasi ki
umur-e-dil mein kisi tisre ka daKHl nahin
yahan faqat teri chalti hai ya udasi ki
charagh-e-dil ko zara ehtiyat se rakhna
ki aaj raat chalegi hawa udasi ki
wo imtizaj tha aisa ki dang thi har aankh
jamal-e-yar ne pahni qaba udasi ki
isi umid pe aankhen barasti rahti hain
ki ek din to sunega KHuda udasi ki
shajar ne puchha ki tujh mein ye kis ki KHushbu hai
hawa-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki
dil-e-fasurda ko main ne to mar hi Dala
so main to Thik hun ab tu suna udasi ki
zara sa chhu len to ghanTon dahakti rahti hai
hamein to mar gai ye ada udasi ki
bahut dinon se main us se nahin mila 'faris'
kahin se KHair-KHabar le ke aa udasi ki
Ghazal
Sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki
Rehman Faris