اردو हिंदी
Sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko | Shaahi Shayari
sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko

Ghazal

Sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko

Ali Zaryoun

;

sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko
main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko

main in dinon teri aankhon ke iKHtiyar mein hun
jamal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko

main buDhe jism ki zillat uTha nahin sakta
kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko

main apne hone ki takmil chahta hun sakhi
so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko

mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki malum
ab is se aage koi rasta bata mujh ko

us ism-e-KHas ki tarkib se bana hun main
mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko

darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali'
wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko