اردو हिंदी
Sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao | Shaahi Shayari
sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

Ghazal

Sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

Ahmad Faraz

;

sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao
baDa udas saman hai qarib aa jao

na tum ko KHud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao

rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao

jo dasht-e-ishq mein bichhDe wo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao

ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki KHair nahin
zamana KHak-fishan hai qarib aa jao

faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho
ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao

'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao