sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain
ye kam-nigah fareb-e-KHudi samajhte hain
jo tirgi mein bhaTakte hain rahnuma hain wo
jo raushni hai use tirgi samajhte hain
nizam-e-kohna ka paDhte hain wo qasida phir
jo raqs-e-maut ko bhi zindagi samajhte hain
tabassum-e-lab-e-jaanan se khelne wale
gham-e-wafa ko gham-e-zindagi samajhte hain
sajae jate hain daman ko aaj kanTon se
KHayal-e-gul ko mata-e-kali samajhte hain
junun ki dad bhula denge kya KHirad ke ghulam
jo zinda-dil hain use zindagi samajhte hain
ye zarf apna hai 'nazir' ki is zamane ne
jo gham diya hai use hum KHushi samajhte hain
Ghazal
Sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain
Nazir Al-Husaini