sukut-e-arz-o-sama mein KHub intishaar dekhun
KHala mein apni sada ka phaila ghubar dekhun
ajab nahin hai ki aa hi jae wo KHush-samaat
dayar-e-dil se main kyun na us ko pukar dekhun
khaDi hai diwar aansuon ki mere barabar
to kis tarah main teri tamanna ke par dekhun
bikharta jata hun jaise tasbih ke hon dane
jab us ke aansu qatar-andar-qatar dekhun
wo mera isbaat chahta hai so jabr ye hai
main apne hone mein us ko be-iKHtiyar dekhun
jo ek dam mein tamam ruhon ko KHak kar de
badan se uDta hua ek aisa sharar dekhun
bahut dinon se wahan main apna hi muntazir hun
to KHud ko ek din teri gali se guzar dekhun

Ghazal
Sukut-e-arz-o-sama mein KHub intishaar dekhun
Salim Saleem