sukut baDhne laga hai sada zaruri hai
ki jaise habs mein taza hawa zaruri hai
phir is ke baad har ek faisla sar aankhon par
magar gawah ka sach bolna zaruri hai
bahut qarib se kuchh bhi na dekh paoge
ki dekhne ke liye fasla zaruri hai
tum apne bare mein mujh se bhi puchh sakte ho
ye tum se kis ne kaha aaina zaruri hai
gurez-pai ke mausam ajib hote hain
safar mein koi mizaj-ashna zaruri hai
hawala mang raha hai meri mohabbat ka
jo 'fauz' mujh se ye kahta tha kya zaruri hai

Ghazal
Sukut baDhne laga hai sada zaruri hai
Saleem Fauz