اردو हिंदी
Sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista | Shaahi Shayari
sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista

Ghazal

Sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista

Ravish Siddiqi

;

sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista
mohabbat ho rahi hai kaamyab aahista aahista

ajab aalam hai aaghaz-e-surur-e-ishq ka aalam
uThe jaise ufuq se mahtab aahista aahista

sarishk-e-gham kabhi sham-e-judai ko bujha denge
yahi tare banenge aaftab aahista aahista

KHarab-e-nargis-e-mastana aaKHir ho gaya zahid
rasa hoti hai tasir-e-sharab aahista aahista

nashat-e-arzu KHwab-e-tamanna dard-e-mahrumi
mohabbat ne uThae sab hijab aahista aahista

ba-har-unwan musalsal chheD hai ab un ke jalwon se
bahak nikli nigah-e-baryab aahista aahista

'rawish' raaz-e-mohabbat aaj bhi hai raaz-e-la-yanhal
ghalat sabit hue sare jawab aahista aahista