sukun-e-qalb mayassar kise jahan mein hai
teri zamin mein kahan wo jo aasman mein hai
maza hayat ka us shaKHs se kabhi puchho
jo tez dhup ki chadar ke saeban mein hai
palak se TuT ke jab ashk KHak mein mil jae
samajh lo tab ye gharib-ul-watan aman mein hai
mujhe bhi gunga banaenge ek din ye log
mahal ka aib jo poshida is zaban mein hai
wafa KHulus mohabbat bhi bik rahe hain miyan
har ek chiz mayassar meri dukan mein hai
usi ki zat se is ghar ki bach gai izzat
jo khoTe sikke ki manind KHandan mein hai
biTha diye hain kisi ne hawaon par pahre
tabhi to itni ghuTan jism ke makan mein hai
bichhaDte waqt jo tum ne kaha tha mujh se kabhi
wo jumla aaj bhi mahfuz mere kan mein hai
Ghazal
Sukun-e-qalb mayassar kise jahan mein hai
Sharib Mauranwi